Chehray ko shafaf aur khubsurat bananay k saman tou app k apnay bawarchikhanay main mojood hain.
Sooraj mukhi k chund beejh raat main dhodh main bhigoiey aur subha thoray say zahfaran k sath peese lain iss amazay ko chahray per lagaien aur 20 mint k baad chahra dhoh lain.rozana k istimal say rungat saaf aur chahra shadab ho jata hai.Aik aalo ko kadoo kash kar kar k iss ka rus nachorh lain iss rus ko ungli ki madad say chahray per lagaien
Tamater k goodhy ko achi tarah masal kar chehray per lagaien yeh amal chehray say nikalnay walay taile ko jazab karnay aur khulay masam band karnay k liye baymasal hai.
Leemoo ka rus aur shehd baraber miqdar main lay kar chehrayaur gardhan per lagaien 20 mint baad chehra saaf paani say dhoh lain aur dagh dhabo say batadhreej chukara paien.
1/2 Chaye k chamchay shahd main aik chutki pisi hui darchini mila kar chehray aur gardhan per lagaien.
Leemoo k rus main kheray ka rus shamil kar k lagaien 15 mint baad chehra neem ghram pani say dhoh lain.
No comments:
Post a Comment