پپتے کے بیج کڈ نی کے لیےبہت مفید ھے
پکے پپتے میں بے انتہا مٹھاس پائی جاتی ھے
Thursday, 1 October 2015
Saturday, 1 August 2015
Thursday, 5 March 2015
SKIN CARE
Apnay chehray ko vitamins say nikhar atta kijiye.
Vitamin A:
Vitamin A wahid vitamin hai jisay jild per istimal kiya jaye tou umer ki afzaish main kami ati hai.
Monday, 2 February 2015
Friday, 16 January 2015
FRUIT TREATMENT(In Urdu)
Giza BHi Dwa BHi
Mango
Isay Europe main mango k naam say pukara jata hai. yeh aik aisa phal hai jo har umr har tabqa or har mizaj k logo ka pasandida phal hai or isay darjan bhar treqo say khaya jata hai iss ki khobiyan beshumar hain or isay sabhi phalo ka badsha kaha jata hai.Ahlay Arub isay sultan-ul-asmar kahtay hain.KHASUSIAT AUR ILAJ
Aam shireen or pukhta ho tou saalay khoon paida karta hai.wazan bharhata hai baisay farhat hai Aam qabz dur kata hai khoon paida karta hai or khoon ko saaf karta hai bwaseer k liye nafah bakhsh hai
Aam maqvie damagh hai or iss ka achar pait ki jumla baymariyan or gas ki shikayat mujarbay ilaj hai.Aam jis qder shireen hota hai iss qader garm hota hai.magr tursh aam kum garm hota hai aur tursh aam jism say k asrat kum kar dainayka bayes banta hai.kacha aam loo lagnay aur sun strok k liye behad mufeed hai aam ki khasusiat hai k isay khanay k baad agr app dhodh pi lain tou be pnah quwat hasil hoti hai.
POMGRANATE.
Anar jigr k liye quwat bakhsh hai. Jism ki harart ko kum kar daita hai dil ko taqveyat daita hai garmi say paida honay wali baymariyon k doran anar ka itimal behad faida mand hota hai.
Inn logo k liye jin k mizaj main garmi hai anar behad faida mand hota hai
Shireen anar mizaj main sard hota hai yeh bhook bhi lagata hai aur dil-o dimagh ko farhat deta hai Anar ka sharbat aab-e hayat hai anar shireen tandrusti ka certificate hai
Anar tursh bhi hota hai anar blood pressure sozish aur jiger ki germi ka kamiyab ilaj hai sifrah ko dure karta hai iss k istimal say jism farbha hota hai
Yerqan k marz ko mukamal khatam kar deta hai
Anar ka rus musulsal peenay say sugar ka marz khatam ho jata hai agr kisi ka ji matla raha ho tou woh anar ka rus istimal karay.Anar tursh k danoo ko anar daana kaha jata hai jo adviat ka lazmi juzw hai iss ka safoof nimak mila kar khanay say mehdha drust ho jata hai
Anar ka rus chehray ko nikharta hai jo log qabz ki shikayat rakhtay hon woh anar istimal nah karany
Blghmi mizaj walon ko bhi anar ka istimal nai karna chahye.
GRAPES.
Angoor dunia ka sub say maroof phal hai.
Iss ki iqsam main surkh gol daanay wala safaid sabz, surkh,siya hotay hain magr barhay aur lambay danay wala zaiqay main ziada shireen hota hai yeh quoita main paida hota hai.aur iss ka mizaj garm tar hai magr woh angoor jo khatta mitha ho ga muhtidil mizaj hota hai.Angoor jism ko qavi aur mota karta hai aur dil-o-dimagh ko taqviat deta hai Angoor k ajza main khand pani vitamin b hai.Taza khoon paida karta hai aur khoon ko saaf karta hai iss ko khanay say khoon k aksar amraz khatam ho jatay hain.manaka angoor say banta hai aur angoor hi say kishmish bhi tyar ki jati hai.Angoor khanay say dil bamariyan dur ho jati hain magr angoor khanay ki miqdar 15 tola say ziada nai hini chahye.
Angoor jism ko Mazbot qawi aur mota karta hai iss ko khanay say khoon ko saaf karta hai.iss ko khanay say khoon k amraz khattam ho jatay hain.
Annanas.(Pineapple)
Annanas aik mashoor aur pasandida phal hai jis ki beshumar iqsam hain.
Budqismati say Pakistan ki zameen jo isay paida karnay ki bhrpoor salayiat
rakhti hai iss ki paidawar say nisbtan mahroom hai.Kawerhay k podhay k manid iss ka podha hota hai jis ki behad nafees khushbu hoti hai.Ajza:Folad,Pani,Glucose,aur vitaminC iss k ajza hain.aur iss ka mizaj sard hai.
Khasiat aur Ilaj
Garmi Khushki aur khafqan ko khattam karta hai.Mufray phal jo dil-o-dimagh ko taqat deta hai isska sharbat bhi dil-o-dimagh ko taqat deta hai kamzor insan ko taqatwer bananay aur dublay patlay
shakhs ko tnumand bananay main muawan hai.
Annanas ghalay k amraz main behad mufid hai ghala bhath jaye ya band ho jaye iss se aaram aa
jata hai.zhufay mehdaha zhufay qalb ki shikayet walay log lazimun annanas istimal karayn.Yeh Bukhar
ko taskeen deta hai aur germ mizaj wallon kay liye behad mufid hai bhook awar hai Taza khoon
paida karta hai aur vitamins ki kami kay shikar afrad agr annanas istimal karayn tou inn k jism say
vitamins ki kami dur ho jati hai. Annanas ka marabha bhi behad aml dikhata hai.Bharsat main aur garmiyon main iss kay sharbat ka istimal bemariyon say mehfoz rakhta hai.Nazla aur zukam kay liye annanas boht mufid hai Annanas ka murabha bhi azdhupahr istimal main layeniss say qabl yeh faidamand nai hota.Annanas subhu kay waqt khana mufid nai hota
Amrood
Amrood woh mashoor phal hai jo hind-o-Pakistan main sub say ziada paida hota hai. Aur say ziada rugbat say khaya jata hai iss kay mizaj kay baray main hukmah mutfiq nai hain bhaz muhtidil batatay hain bhaz germ ter bhaz serd ter ziada aksriat serd per mutfiq hain iss ki kahi iqsam hain mgr Aala Aabadi amrrood sub say ziada mashoor aur pasandida hai.Amrood main sfaide ranrgut wala aur saib ki manind sfaid surkh ya gulabi amrrood purlotf aur khushbu dar hotay hain. Iss ki iqsam main skht nerm lambutra aur gol amrood sub say ziada mshoor hain
Ajza:Galucoz Folad aur vitamins iss kay khsosi ajza hain.Amrood khorak ko hazhm kar kay mehdaha
aur dil ko taqat deta haiaur amraz-e-qalb main amrood khana behter hai iss say tabyat ko taskeen milti hai.Amrood qabz kta hai aur kholta bhi hai.Issy khanay k bahd istimal karna munasib hai.iss trah qabz paida nai hoti issy khanay say pehlay khana nqsan day hai khanay kay baad ya khanay kay sath btoray salad istimal karna ziada munasib haihota hai.Amrood kay kanay ka treeqa yeh hai kay iss ko cheel kar iss kay bhej phank dhein.aur iss ka skht hissa hargiz nah khayen.issy nimak mirch kay saath khayen tou yeh jaldi hazm ho jata hai. Khansi aur nazla kay mreezon kay liye amrood behad fahida mand hai aur issy khansi -0-nazla kay doran khanay say yeh amraz khatam ho jatay hain.
Ajza:Galucoz Folad aur vitamins iss kay khsosi ajza hain.Amrood khorak ko hazhm kar kay mehdaha
aur dil ko taqat deta haiaur amraz-e-qalb main amrood khana behter hai iss say tabyat ko taskeen milti hai.Amrood qabz kta hai aur kholta bhi hai.Issy khanay k bahd istimal karna munasib hai.iss trah qabz paida nai hoti issy khanay say pehlay khana nqsan day hai khanay kay baad ya khanay kay sath btoray salad istimal karna ziada munasib haihota hai.Amrood kay kanay ka treeqa yeh hai kay iss ko cheel kar iss kay bhej phank dhein.aur iss ka skht hissa hargiz nah khayen.issy nimak mirch kay saath khayen tou yeh jaldi hazm ho jata hai. Khansi aur nazla kay mreezon kay liye amrood behad fahida mand hai aur issy khansi -0-nazla kay doran khanay say yeh amraz khatam ho jatay hain.
Angeer
Angeer jisay Janat ka phal bhi kaha jata hai
Bahira Rome ka phal hai aur wahan ziada paida hota hai Hamaray han yeh kum paida hota hai aur issy Bahira Rome say khushk kar kay laya jata hai.Ajza:Glucose Protein aur vitamin E hain iss ka mizaj germ ter hai
Had-e-istimal:Issy peece kar nimak mirch aur khand kay saath khaya jata hai Iss main bepanah gizahiyet moujod hoti hai Iss kay do ya teen daanay say ziada nai khanay chahiye.
Anjeer kay fwaied :
Anjeer qabz dur karti hai issy khanay say rung nikhar jata hai aur jism mota karta hai.
Angeer khansi aur balgham ko dur kar deta hai issy kuch aur dwaon kay kay saath istimal karnay say balgham ka behtreen illaj hai.
Damah kay mareezon ko Anjeer ka istimal msalsal karna chahye.iss trah merz per qabu paya ja sakta hai.Chotay bachon ki pervirish Angger khila kr karain tiu behad faidamand hai inn kay daanton ki kharabi jald dur ho jati hai Agr app nay ziada angeer kha li tou tabyat kharab honay ka imkan hai aisi surat main app badam khayen tabyat bahal ho jaye gi.Dhamaghi kaam karnay wallo kay liye angeer behad mufeed hai Woh log angeer ka istimal hargiz nah karain jin ko jigar ya mehday ki shikayet hai.
Aarhoo ki khi qismay hain.Gol chipta skht aur chapta nurm noke dar aur gol tiki wala aarhoo kaha jata hai.
Ajzaa: Protein aur vitamin c iss main wafer miqdar main hoty hain aur iss ka mizaj sard hota hai.iss ki khurak aik baligh fard kay liye six danay aur km umer kay aur zhaheef kay liye five danay say ziada nai honay chahye. Damah kay mareezon ko Anjeer ka istimal msalsal karna chahye.iss trah merz per qabu paya ja sakta hai.Chotay bachon ki pervirish Angger khila kr karain tiu behad faidamand hai inn kay daanton ki kharabi jald dur ho jati hai Agr app nay ziada angeer kha li tou tabyat kharab honay ka imkan hai aisi surat main app badam khayen tabyat bahal ho jaye gi.Dhamaghi kaam karnay wallo kay liye angeer behad mufeed hai Woh log angeer ka istimal hargiz nah karain jin ko jigar ya mehday ki shikayet hai.
Peach.
Aarhoo ki khi qismay hain.Gol chipta skht aur chapta nurm noke dar aur gol tiki wala aarhoo kaha jata hai.
Khasiyat aur Ilaj.
Aalo bukhara.(Prunes)
Aalo bukhara woh mashoor phal hai.Jo har shkhs ka pasandida hai iss do qismay hain siya aur sabzi mayl surkh iss kay saath sfad aalo bukhra ki qism bhi moujod hai magr behter aalo bukhra siya hota hai jo gaihra siya aur jisamat main brha ho.Gulabi mayal auur chota aalo bukhara behter nai hota.Ajza: Vitamin B,Vitamin C,Paani aur glucose iss kay buniyadi ajza hain aur yeh mizaj main serd treen mizaj rakhtay hain.Iss ka miqdar khurak teen ya char danay say ziada nai hoti.Iss say ziada
khayen gay tou gi matlaye ga.
Khasiyat aur Ilaj.
Mousam sarmah ka phal hai aur iss phal main qudrat nay germi kay muzar asrat khattam kar denay ki numayan khasusiat rakhi hai Ye shadid bukhar ko km karnay main mufeed hai.Woh log jinhe germi kay baeis derd-e-sar ki shikayet ho wo aalo bukhara berf per laga kar khain inn asrat ko khattam kar dey ga.Aur tabyet drust karay ga. vomit main aalo bukhara behtreen phal hai.aur tabyet ko behter kar deta hai.Aalobukhra aur imli bhigho kar inn ka paani peenay say germi kay asrat khattam ho jaty hain.Aalo bukhara khoon saaf karta hai aur blood pressure ko bhi faida deta hai.Aalo bhukhara skht haalet main istimal karna ziada munasib aur faida mnd hota hai.Aalo bkhary ki chatni aur sharbet bhi yaksan mufeed hai.
Subscribe to:
Comments (Atom)
.jpg)
.jpg)
.jpg)
.jpg)
.jpg)
.jpg)
.jpg)
.jpg)
.jpg)
.jpg)
.jpg)
.jpg)
.jpg)
.jpg)
.jpg)
